musafir bhi safar mein imtihan dene se Darte hain
musāfir bhī safar meñ imtihāñ dene se Darte haiñ
mohabbat kyā kareñge vo jo jaañ dene se Darte haiñ
tirī yādoñ ke mausam bhī tujhe rusvā nahīñ karte
sulagte haiñ dil-o-jāñ aur dhuāñ dene se Darte haiñ
sharīk-e-zindagī hai e'tibār-e-zindagī varna
makāñ mālik kirā.e par makāñ dene se Darte haiñ
buzurgoñ kī koī suntā nahīñ hai is zamāne meñ
baḌe chhoToñ ke baare meñ zabāñ dene se Darte haiñ
mire qātil kī mere ghar se hī imdād hotī hai
mire bhaa.ī mire haq meñ bayāñ dene se Darte haiñ
musafir bhi safar mein imtihan dene se Darte hain
mohabbat kya karenge wo jo jaan dene se Darte hain
teri yaadon ke mausam bhi tujhe ruswa nahin karte
sulagte hain dil-o-jaan aur dhuan dene se Darte hain
sharik-e-zindagi hai e'tibar-e-zindagi warna
makan malik kirae par makan dene se Darte hain
buzurgon ki koi sunta nahin hai is zamane mein
baDe chhoTon ke bare mein zaban dene se Darte hain
mere qatil ki mere ghar se hi imdad hoti hai
mere bhai mere haq mein bayan dene se Darte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.