musafir hun masafat chahta hun
musāfir huuñ masāfat chāhtā huuñ
safar kī rah meñ shiddat chāhtā huuñ
bahut yaksāniyat hai roz-o-shab meñ
maiñ fitrat se baġhāvat chāhtā huuñ
koī aa.e mujhe sharminda kar de
maiñ ehsās-e-nadāmt chāhtā huuñ
mujhe apnī hī sūrat dekhnī hai
bas ik lamhe kī fursat chāhtā huuñ
ajab sanjīdgī māhaul meñ hai
maiñ thoḌī sī sharārat chāhtā huuñ
kahānī dar-kahānī dar-kahānī
maiñ qisse meñ tavālat chāhtā huuñ
na apnoñ se na hī ġhairoñ se 'shāhid'
maiñ ḳhud se hī adāvat chāhtā huuñ
musafir hun masafat chahta hun
safar ki rah mein shiddat chahta hun
bahut yaksaniyat hai roz-o-shab mein
main fitrat se baghawat chahta hun
koi aae mujhe sharminda kar de
main ehsas-e-nadamt chahta hun
mujhe apni hi surat dekhni hai
bas ek lamhe ki fursat chahta hun
ajab sanjidgi mahaul mein hai
main thoDi si shararat chahta hun
kahani dar-kahani dar-kahani
main qisse mein tawalat chahta hun
na apnon se na hi ghairon se 'shahid'
main KHud se hi adawat chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.