musafirat mein tera sath gar nahin hota
musāfirat meñ tirā saath gar nahīñ hotā
rah-e-hayāt meñ mujh se safar nahīñ hotā
ġham-e-hayāt shab-e-hijr kis taraf jaate
ġharīb-ḳhāna hamārā agar nahīñ hotā
shu'ūr sāda-mizājī kā aa gayā shāyad
kisī bhī shaḳhs meñ vo karr-o-far nahīñ hotā
qadīm adab se bhī tum istifāda karte raho
ki ab jo paḌhte ho vo mo'tabar nahīñ hotā
tumhāre shahr se jab tak nahīñ guzarte haiñ
musāfiroñ kā mukammal safar nahīñ hotā
vasīle jitne the utnī zarūrateñ hotīñ
to phir kabhī mutafakkir bashar nahīñ hotā
ye gumrahī kā hai 'ālam ki kuchh kaho 'kausar'
paḌhe likhoñ pe bhī koī asar nahīñ hotā
musafirat mein tera sath gar nahin hota
rah-e-hayat mein mujh se safar nahin hota
gham-e-hayat shab-e-hijr kis taraf jate
gharib-KHana hamara agar nahin hota
shu'ur sada-mizaji ka aa gaya shayad
kisi bhi shaKHs mein wo karr-o-far nahin hota
qadim adab se bhi tum istifada karte raho
ki ab jo paDhte ho wo mo'tabar nahin hota
tumhaare shahr se jab tak nahin guzarte hain
musafiron ka mukammal safar nahin hota
wasile jitne the utni zaruraten hotin
to phir kabhi mutafakkir bashar nahin hota
ye gumrahi ka hai 'alam ki kuchh kaho 'kausar'
paDhe likhon pe bhi koi asar nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.