musalman ghaur kar kyun aaj teri
musalmāñ ġhaur kar kyuuñ aaj terī
vo pahlī aabrū baaqī nahīñ hai
masā.ib ġhair ke pesh-e-nazar haiñ
ragoñ meñ vo lahū baaqī nahīñ hai
ġhazab hai bhaa.ī kā dushman hai bhaa.ī
uḳhuvvat kī vo ḳhū baaqī nahīñ hai
masā.ib ġhair kai pesh-e-nazar haiñ
ḳhud apnī justujū baaqī nahīñ hai
kiyā pairahan-e-dīñ is tarah chaak
ki ab jā-e-rafū baaqī nahīñ hai
anādil kyuuñ na huuñ dil-gīr-o-ḳhāmosh
guloñ meñ rañg-o-bū baaqī nahīñ hai
zabānoñ par to hai allāh allāh
diloñ meñ haa.e tū baaqī nahīñ hai
musalman ghaur kar kyun aaj teri
wo pahli aabru baqi nahin hai
masaib ghair ke pesh-e-nazar hain
ragon mein wo lahu baqi nahin hai
ghazab hai bhai ka dushman hai bhai
uKHuwwat ki wo KHu baqi nahin hai
masaib ghair kai pesh-e-nazar hain
KHud apni justuju baqi nahin hai
kiya pairahan-e-din is tarah chaak
ki ab ja-e-rafu baqi nahin hai
anadil kyun na hun dil-gir-o-KHamosh
gulon mein rang-o-bu baqi nahin hai
zabanon par to hai allah allah
dilon mein hae tu baqi nahin hai
- Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 89)
- Author : Khan Mohammad Atif
- Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.