musalsal aag mein ek aag si lagi hui hai
musalsal aag meñ ik aag sī lagī huī hai
ye maiñ jo raakh banī hai to raushnī huī hai
rukā nahīñ kisī manzil pe kārvān-e-safar
azal se ḳhuun meñ tahrīk sī chalī huī hai
ḳhamīr-e-tuḳhm meñ rakkhī huī hasīñ ḳhvāhish
gulāb ban ke har ik shāḳh par khilī huī hai
paḌā huuñ jism ke sāñche meñ hijr apnā liye
mujhe ye umr kahīñ DhūñDne ga.ī huī hai
fasīl-o-dar mujhe hairat se takte rahte haiñ
kisī darīche se kyā merī dostī huī hai
ye surḳh-o-tāza guloñ se bharī huī Tahnī
mire badan kā lahū pī ke hī baḌī huī hai
musalsal aag mein ek aag si lagi hui hai
ye main jo rakh bani hai to raushni hui hai
ruka nahin kisi manzil pe karwan-e-safar
azal se KHun mein tahrik si chali hui hai
KHamir-e-tuKHm mein rakkhi hui hasin KHwahish
gulab ban ke har ek shaKH par khili hui hai
paDa hun jism ke sanche mein hijr apna liye
mujhe ye umr kahin DhunDne gai hui hai
fasil-o-dar mujhe hairat se takte rahte hain
kisi dariche se kya meri dosti hui hai
ye surKH-o-taza gulon se bhari hui Tahni
mere badan ka lahu pi ke hi baDi hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.