musalsal aankh mein yun aana jaana aansuon ka hai
musalsal aañkh meñ yuuñ aanā jaanā āñsuoñ kā hai
mirā chehra hai aur mehmān-ḳhāna āñsuoñ kā hai
bahut mushkil bayāñ hai chashm-o-dil ke ḳhuun hone kā
bahut āsān palkoñ se girānā āñsuoñ kā hai
paḌe rahte haiñ us kī diid ke kuchh aks konoñ meñ
vagarna aañkh meñ saarā Thikāna āñsuoñ kā hai
faqat tajdīd-e-nau kī baat hai har ahd meñ varna
tumhāre hijr se rishta purānā āñsuoñ kā hai
bahut āsāñ sahī dāman pe girnā chand qatroñ kā
bahut mushkil sar-e-mizhgāñ uThānā āñsuoñ kā hai
ḳhayāl-o-ḳhvāb ko 'afroz' koī aa ke samjhā de
bulānā us kī yādoñ kā bulānā āñsuoñ kā hai
musalsal aankh mein yun aana jaana aansuon ka hai
mera chehra hai aur mehman-KHana aansuon ka hai
bahut mushkil bayan hai chashm-o-dil ke KHun hone ka
bahut aasan palkon se girana aansuon ka hai
paDe rahte hain us ki did ke kuchh aks konon mein
wagarna aankh mein sara Thikana aansuon ka hai
faqat tajdid-e-nau ki baat hai har ahd mein warna
tumhaare hijr se rishta purana aansuon ka hai
bahut aasan sahi daman pe girna chand qatron ka
bahut mushkil sar-e-mizhgan uThana aansuon ka hai
KHayal-o-KHwab ko 'afroz' koi aa ke samjha de
bulana us ki yaadon ka bulana aansuon ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.