musalsal be-qarari chal rahi hai
musalsal be-qarārī chal rahī hai
udāsī keī savārī chal rahī hai
ye aañsū zabt kho baiThe haiñ kyūñ-kar
ye kis keī ġham-gusārī chal rahī hai
umīdoñ ke paḌe the biij dil meñ
vahīñ par ābiyārī chal rahī hai
laboñ par rah gayā ik naam aa kar
kisī keī pāsdārī chal rahī hai
adāvat ho ga.ī hai har ḳhushī se
ġhamoñ se apnī yaarī chal rahī hai
musalsal be-qarari chal rahi hai
udasi kei sawari chal rahi hai
ye aansu zabt kho baiThe hain kyun-kar
ye kis kei gham-gusari chal rahi hai
umidon ke paDe the bij dil mein
wahin par aabiyari chal rahi hai
labon par rah gaya ek nam aa kar
kisi kei pasdari chal rahi hai
adawat ho gai hai har KHushi se
ghamon se apni yari chal rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.