musalsal hans raha hun ga raha hun
musalsal hañs rahā huuñ gā rahā huuñ
tirī yādoñ se dil bahlā rahā huuñ
tirī yādoñ kī beleñ jal ga.iiñ sab
maiñ phūloñ kī tarah murjhā rahā huuñ
ai merī vahshato sahrā kī jānib
mujhe āvāz do maiñ aa rahā huuñ
kināre merī jānib baḌh rahe haiñ
magar maiñ huuñ ki Duubā jā rahā huuñ
yahāñ jhūToñ ke tamġhe mil rahe haiñ
maiñ sachchā huuñ to parkhā jā rahā huuñ
musalsal hans raha hun ga raha hun
teri yaadon se dil bahla raha hun
teri yaadon ki belen jal gain sab
main phulon ki tarah murjha raha hun
ai meri wahshato sahra ki jaanib
mujhe aawaz do main aa raha hun
kinare meri jaanib baDh rahe hain
magar main hun ki Duba ja raha hun
yahan jhuTon ke tamghe mil rahe hain
main sachcha hun to parkha ja raha hun
- Book : Surkhab (Pg. 80)
- Author : Azm Shakri
- Publication : Aiwan-e-adab Publishers (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.