musalsal hijr ka gham bhi akele kaTna hai
musalsal hijr kā ġham bhī akele kāTnā hai
tumhāre bin ye mausam bhī akele kāTnā hai
kahīñ koī to hotā jo mire marne pe rotā
mujhe marne kā mātam bhī akele kāTnā hai
akele kāTnī hai zard tapte din kī ḳhushkī
pighaltī raat kā nam bhī akele kāTnā hai
mire hisse meñ achchhā vaqt yuuñ bhī hai bahut kam
chalo kam hai pe ye kam bhī akele kāTnā hai
junūn-e-'ishq jab taarī thā maiñ tab bhī thā tanhā
aur ab vahshat kā 'ālam bhī akele kāTnā hai
musalsal hijr ka gham bhi akele kaTna hai
tumhaare bin ye mausam bhi akele kaTna hai
kahin koi to hota jo mere marne pe rota
mujhe marne ka matam bhi akele kaTna hai
akele kaTni hai zard tapte din ki KHushki
pighalti raat ka nam bhi akele kaTna hai
mere hisse mein achchha waqt yun bhi hai bahut kam
chalo kam hai pe ye kam bhi akele kaTna hai
junun-e-'ishq jab tari tha main tab bhi tha tanha
aur ab wahshat ka 'alam bhi akele kaTna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.