musalsal mujh pe ye teri inayat mar Dalegi
musalsal mujh pe ye terī ināyat maar Dālegī
kabhī furqat kabhī is darja qurbat maar Dālegī
ġharīb-e-shahr kā kyā is ko ġhurbat maar Dālegī
amīr-e-shahr ko daulat kī chāhat maar Dālegī
saḌak par paayā jā.egā kisī din merā bhī lāsha
mujhe sach bolte rahne kī aadat maar Dālegī
ye terī dast-gīrī ek din le Dūbegī mujh ko
mirī har baat par terī himāyat maar Dālegī
agar chāhat kī shiddat din-ba-din baḌhtī rahī yuuñ hī
'sabīh'-e-nīm-jāñ tujh ko mohabbat maar Dālegī
musalsal mujh pe ye teri inayat mar Dalegi
kabhi furqat kabhi is darja qurbat mar Dalegi
gharib-e-shahr ka kya is ko ghurbat mar Dalegi
amir-e-shahr ko daulat ki chahat mar Dalegi
saDak par paya jaega kisi din mera bhi lasha
mujhe sach bolte rahne ki aadat mar Dalegi
ye teri dast-giri ek din le Dubegi mujh ko
meri har baat par teri himayat mar Dalegi
agar chahat ki shiddat din-ba-din baDhti rahi yun hi
'sabih'-e-nim-jaan tujh ko mohabbat mar Dalegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.