musalsal regzaron ka safar hai
musalsal regzāroñ kā safar hai
mohabbat asl meñ kār-e-digar hai
haqīqat kyā hai aur kyā hai fasāna
ye sab kuchh munhasir hālāt par hai
ragoñ meñ aag sī bhar de to sahrā
sukūñ se niiñd aa jaa.e to ghar hai
dayār-e-dīda-o-dil meñ abhī tak
ḳhushī nā-mo'tabar ġham mo'atabar hai
jo kal sahrā-navardī par thā maa.il
vo ab minnat-kash-e-dīvār-o-dar hai
azal se huuñ sazā-vār-e-masāfat
safar paiham safar paiham safar hai
sarāpā tifl-e-nādāñ 'rāz' ban jā
ḳhayāl-e-ḳhātir-e-ahbāb gar hai
musalsal regzaron ka safar hai
mohabbat asl mein kar-e-digar hai
haqiqat kya hai aur kya hai fasana
ye sab kuchh munhasir haalat par hai
ragon mein aag si bhar de to sahra
sukun se nind aa jae to ghar hai
dayar-e-dida-o-dil mein abhi tak
KHushi na-mo'tabar gham mo'atabar hai
jo kal sahra-nawardi par tha mail
wo ab minnat-kash-e-diwar-o-dar hai
azal se hun saza-war-e-masafat
safar paiham safar paiham safar hai
sarapa tifl-e-nadan 'raaz' ban ja
KHayal-e-KHatir-e-ahbab gar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.