musalsal ro raha hun phir bhi kyon rone se Darta hun
musalsal ro rahā huuñ phir bhī kyoñ rone se Dartā huuñ
jise paayā nahīñ ab tak use khone se Dartā huuñ
bahut zarḳhez hai dil kī zamīñ ma.alūm hai lekin
vafā ke biij is miTTī meñ phir bone se Dartā huuñ
sunahrā ḳhvāb ban kar ik azaab āñkhoñ pe utrā thā
zamāna ho gayā par aaj bhī sone se Dartā huuñ
maiñ jis kashtī meñ baiThā us ko sāhil ne Duboyā hai
kisī shāne pe apnā bojh ab Dhone se Dartā huuñ
mujhe jis ne bhī apnāyā vo mujh se kho gayā 'kāshif'
tire nazdīk rah kar bhī tirā hone se Dartā huuñ
musalsal ro raha hun phir bhi kyon rone se Darta hun
jise paya nahin ab tak use khone se Darta hun
bahut zarKHez hai dil ki zamin malum hai lekin
wafa ke bij is miTTi mein phir bone se Darta hun
sunahra KHwab ban kar ek azab aankhon pe utra tha
zamana ho gaya par aaj bhi sone se Darta hun
main jis kashti mein baiTha us ko sahil ne Duboya hai
kisi shane pe apna bojh ab Dhone se Darta hun
mujhe jis ne bhi apnaya wo mujh se kho gaya 'kashif'
tere nazdik rah kar bhi tera hone se Darta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.