musalsal tairne wala bhi aksar haar jata hai
musalsal tairne vaalā bhī aksar haar jaatā hai
samundar se jo bach nikle to dariyā maar jaatā hai
sharāfat kā mirī charchā sar-e-bāzār kyā pahuñchā
jise dekho vahī aa kar mujhe lalkār jaatā hai
sar-e-maqtal maiñ jāñ-baḳhshī kī us se iltijā kar ke
agar sar ko bachā luuñ to mirā kirdār jaatā hai
hameñ chhū kar jo ban jaatā hai miTTī se kharā sonā
vahī ik roz ham pāras ko Thokar maar jaatā hai
hameñ talqīn kartā hai jo har lamha vo sajde meñ
ḳhudā jaane ki sachche dil se kitnī baar jaatā hai
maiñ jab bhī ghar se niklūñ har taraf ik shor uThtā hai
miyāñ dauḌo vo dekho ishq kā bīmār jaatā hai
jahāñ par farz ko ehsān samjhā jaa.e hai 'tashna'
tū apnā haq talab karne vahāñ be-kār jaatā hai
musalsal tairne wala bhi aksar haar jata hai
samundar se jo bach nikle to dariya mar jata hai
sharafat ka meri charcha sar-e-bazar kya pahuncha
jise dekho wahi aa kar mujhe lalkar jata hai
sar-e-maqtal main jaan-baKHshi ki us se iltija kar ke
agar sar ko bacha lun to mera kirdar jata hai
hamein chhu kar jo ban jata hai miTTi se khara sona
wahi ek roz hum paras ko Thokar mar jata hai
hamein talqin karta hai jo har lamha wo sajde mein
KHuda jaane ki sachche dil se kitni bar jata hai
main jab bhi ghar se niklun har taraf ek shor uThta hai
miyan dauDo wo dekho ishq ka bimar jata hai
jahan par farz ko ehsan samjha jae hai 'tashna'
tu apna haq talab karne wahan be-kar jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.