musalsal thi meri KHana-badoshi
musalsal thī mirī ḳhāna-badoshī
bahut chubhtī rahī ḳhāna-badoshī
har ik mahfil meñ us ko DhūñDne se
milī nazroñ ko bhī ḳhāna-badoshī
maiñ ghar meñ rah ke bhī ghar meñ nahīñ thī
ajab sī thī koī ḳhāna-badoshī
kabhī to aa ke mujh meñ jazb ho jā
fanā kar de mirī ḳhāna-badoshī
bahut kuchh TūTtā hai pahle andar
nahīñ miltī yuuñ hī ḳhāna-badoshī
maiñ har ik zāviye se sochtī huuñ
mujhe kyūñkar milī ḳhāna-badoshī
musalsal thi meri KHana-badoshi
bahut chubhti rahi KHana-badoshi
har ek mahfil mein us ko DhunDne se
mili nazron ko bhi KHana-badoshi
main ghar mein rah ke bhi ghar mein nahin thi
ajab si thi koi KHana-badoshi
kabhi to aa ke mujh mein jazb ho ja
fana kar de meri KHana-badoshi
bahut kuchh TuTta hai pahle andar
nahin milti yun hi KHana-badoshi
main har ek zawiye se sochti hun
mujhe kyunkar mili KHana-badoshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.