musawwir apne tasawwur ka DhunDhta hai dawam
musawwir apne tasawwur ka DhunDhta hai dawam
Saeed-ul-Zafar Chughtai
MORE BYSaeed-ul-Zafar Chughtai
musavvir apne tasavvur kā DhūñDhtā hai davām
na jām-e-jam na visāl-e-sanam na shohrat-o-nām
hayāt jabr-e-musalsal hai tū hai jabr-shikan
har ek gaam pe āzādgī kā tujh ko salām
tasavvurāt ke phūloñ meñ rang bhartā hai
haqīqatoñ kī kaḌī dhuup detī hai in'ām
sahar bhī hogī nasīm-e-sahar bhī gā.egī
magar ye raat mohabbat charāġh zahr ke jaam
sharāb pī bhī to pī chashm-e-mast saaqī se
magar chaḌhā.e piyā pe ġham-e-hayāt ke jaam
maiñ apnī sham' jalātā rahā huuñ tauba par
maiñ apne sho'le se hotā rahā huuñ garm-e-kalām
usī se mere rag-o-pai meñ ātish-e-sayyāl
usī se mere tasavvur ke ḳham meñ māh-e-tamām
musawwir apne tasawwur ka DhunDhta hai dawam
na jam-e-jam na visal-e-sanam na shohrat-o-nam
hayat jabr-e-musalsal hai tu hai jabr-shikan
har ek gam pe aazadgi ka tujh ko salam
tasawwuraat ke phulon mein rang bharta hai
haqiqaton ki kaDi dhup deti hai in'am
sahar bhi hogi nasim-e-sahar bhi gaegi
magar ye raat mohabbat charagh zahr ke jam
sharab pi bhi to pi chashm-e-mast saqi se
magar chaDhae piya pe gham-e-hayat ke jam
main apni sham' jalata raha hun tauba par
main apne sho'le se hota raha hun garm-e-kalam
usi se mere rag-o-pai mein aatish-e-sayyal
usi se mere tasawwur ke KHam mein mah-e-tamam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.