mushk si chaar-su hawa mein hai
mushk sī chār-sū havā meñ hai
kaun hai kis kī bū havā meñ hai
chūmnā chāhe sab charāġhoñ ko
kaisī lat kaisī ḳhū havā meñ hai
qatl ke ba.ad sab jale hoñge
rañg paanī meñ bū havā meñ hai
jis ne lalkārā thā zamīñ pe kabhī
aaj vo jañg-jū havā maiñ hai
jañg kyuuñ is zamīñ pe jaarī hai
jab hamārā adū havā meñ hai
kaise vo har charāġh tak pahuñche
bas yahī justujū havā meñ hai
rishta-e-ḳhāk hī nahīñ sab kuchh
kuchh namī kuchh numū havā meñ hai
hashr ke din sunāyā jā.egā
qaid har guftugū havā meñ hai
paañv ab bhī zamīñ pe haiñ 'dānish'
maiñ samajhtā thā tū havā meñ hai
mushk si chaar-su hawa mein hai
kaun hai kis ki bu hawa mein hai
chumna chahe sab charaghon ko
kaisi lat kaisi KHu hawa mein hai
qatl ke baad sab jale honge
rang pani mein bu hawa mein hai
jis ne lalkara tha zamin pe kabhi
aaj wo jang-ju hawa main hai
jang kyun is zamin pe jari hai
jab hamara adu hawa mein hai
kaise wo har charagh tak pahunche
bas yahi justuju hawa mein hai
rishta-e-KHak hi nahin sab kuchh
kuchh nami kuchh numu hawa mein hai
hashr ke din sunaya jaega
qaid har guftugu hawa mein hai
panw ab bhi zamin pe hain 'danish'
main samajhta tha tu hawa mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.