mushkil dikhai deti hai tadbir-e-kaenat
mushkil dikhā.ī detī hai tadbīr-e-kā.enāt
phir bhī uThā ke dekh leñ shamshīr-e-kā.enāt
ġhaltīda gauharoñ ko zamīñ se nikāl kar
tīra-shabī ko dījiye tanvīr-e-kā.enāt
mehnat meñ apnā ḳhūn-e-jigar bhī milā.iye
tab jā ke ban sakegī vo tasvīr-e-kā.enāt
takmīl-e-ḳhvāb ke liye jo justujū kareñ
un ko dikhā.ī detī hai ta.abīr-e-kā.enāt
koī bhī kaam vaqt se pahle nahīñ huā
TūTegī roz-e-hashr hī zanjīr-e-kā.enāt
ye soch kar gharoñ se nikal aao dosto
karnī hai apne azm se ta.amīr-e-kā.enāt
jangal pahāḌ abr nadī dhuul dhuup aag
kitnī hasīn hai tirī jāgīr-e-kā.enāt
mushkil dikhai deti hai tadbir-e-kaenat
phir bhi uTha ke dekh len shamshir-e-kaenat
ghaltida gauharon ko zamin se nikal kar
tira-shabi ko dijiye tanwir-e-kaenat
mehnat mein apna KHun-e-jigar bhi milaiye
tab ja ke ban sakegi wo taswir-e-kaenat
takmil-e-KHwab ke liye jo justuju karen
un ko dikhai deti hai tabir-e-kaenat
koi bhi kaam waqt se pahle nahin hua
TuTegi roz-e-hashr hi zanjir-e-kaenat
ye soch kar gharon se nikal aao dosto
karni hai apne azm se tamir-e-kaenat
jangal pahaD abr nadi dhul dhup aag
kitni hasin hai teri jagir-e-kaenat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.