mushkil hai kahna sher ka jaane bhi koi kya
mushkil hai kahnā she'r kā jaane bhī koī kyā
bas vāh-vāh miltī hai maane bhī koī kyā
lete haiñ ab badan ko yahāñ dil ke naam par
detā hai jaan dil ke bahāne bhī koī kyā
majnūñ milā to pūchhtā thā dasht-e-‘ishq meñ
ab suntā vaañ hai mere fasāne bhī koī kyā
dhanda hai len-den kā ab she'r-o-shā'irī
aatā hai 'vats' mujh ko sunāne bhī koī kyā
mushkil hai kahna she'r ka jaane bhi koi kya
bas wah-wah milti hai mane bhi koi kya
lete hain ab badan ko yahan dil ke nam par
deta hai jaan dil ke bahane bhi koi kya
majnun mila to puchhta tha dasht-e-‘ishq mein
ab sunta wan hai mere fasane bhi koi kya
dhanda hai len-den ka ab she'r-o-sha'iri
aata hai 'wats' mujh ko sunane bhi koi kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.