mushkil hai ki pahlu se juda dil nahin hota
mushkil hai ki pahlu se juda dil nahin hota
Jameela Khuda Bakhsh
MORE BYJameela Khuda Bakhsh
mushkil hai ki pahlū se judā dil nahīñ hotā
aur mere satāne se vo ġhāfil nahīñ hotā
parde meñ agar us ke mirā dil nahīñ hotā
ā.īna ruḳh-e-yār ke qābil nahīñ hotā
jab qasd musammam hai to har kaar hai āsāñ
jo kaam ki mushkil hai vo mushkil nahīñ hotā
gar parda-nashīnī tujhe manzūr thī dilbar
dil merā tire vāste mahmil nahīñ hotā
mai-ḳhāna ko jaatā huuñ ye takrār abas hai
nāseh to kisī taur se qaa.il nahīñ hotā
saffāk kahā maiñ unheñ hañs ke vo bole
har sāhab-e-shamshīr to qātil nahīñ hotā
dīdār-talab kā tālib hai use jalva dikhā de
āshiq tū zar-o-māl kā saa.il nahīñ hotā
vo nūr-e-mubīñ jo ki tajallī-e-laqā hai
us kā ba-juz aadam koī hāmil nahīñ hotā
merā to patā ḳhaak bhī rahtā na 'jamīla'
gar fazl-e-ilāhī mire shāmil nahīñ hotā
mushkil hai ki pahlu se juda dil nahin hota
aur mere satane se wo ghafil nahin hota
parde mein agar us ke mera dil nahin hota
aaina ruKH-e-yar ke qabil nahin hota
jab qasd musammam hai to har kar hai aasan
jo kaam ki mushkil hai wo mushkil nahin hota
gar parda-nashini tujhe manzur thi dilbar
dil mera tere waste mahmil nahin hota
mai-KHana ko jata hun ye takrar abas hai
naseh to kisi taur se qail nahin hota
saffak kaha main unhen hans ke wo bole
har sahab-e-shamshir to qatil nahin hota
didar-talab ka talib hai use jalwa dikha de
aashiq tu zar-o-mal ka sail nahin hota
wo nur-e-mubin jo ki tajalli-e-laqa hai
us ka ba-juz aadam koi hamil nahin hota
mera to pata KHak bhi rahta na 'jamila'
gar fazl-e-ilahi mere shamil nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.