mushkil hai un ke ruKH pe Thaharna naqab ka
mushkil hai un ke ruḳh pe Thaharnā naqāb kā
baḌhne lagā hai josh mire iztirāb kā
ai āsmān dekh sitam koī rah na jaa.e
maiñ yaad kyā karūñgā zamāna shabāb kā
sar kā ke mere muñh se kafan kah rahe haiñ vo
shikva thā kyā tumhīñ ko hamāre hijāb kā
duniyā kā zarra zarra badaltā hai karvaTeñ
sab par asar hai ik dil-e-pur-iztirāb kā
haañ dekh 'abr' aah tirī kaam kar ga.ī
sarkā rahe haiñ ruḳh se vo gosha naqāb kā
mushkil hai un ke ruKH pe Thaharna naqab ka
baDhne laga hai josh mere iztirab ka
ai aasman dekh sitam koi rah na jae
main yaad kya karunga zamana shabab ka
sar ka ke mere munh se kafan kah rahe hain wo
shikwa tha kya tumhin ko hamare hijab ka
duniya ka zarra zarra badalta hai karwaTen
sab par asar hai ek dil-e-pur-iztirab ka
han dekh 'abr' aah teri kaam kar gai
sarka rahe hain ruKH se wo gosha naqab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.