mushkil ko samajhne ka wasila nikal aata
mushkil ko samajhne kā vasīla nikal aatā
tum baat to karte koī rasta nikal aatā
ghar se jo mire sonā yā paisa nikal aatā
kis kis se mirā ḳhuun kā rishta nikal aatā
mere liye ai dost bas itnā hī bahut thā
jaisā tujhe sochā thā tū vaisā nikal aatā
maiñ joḌ to detā tirī tasvīr ke TukḌe
mushkil thā ki vo pahlā sā chehra nikal aatā
bas aur to kyā honā thā dukh-dard sunā kar
yāroñ ke liye ek tamāsha nikal aatā
aisā huuñ maiñ is vāste chubhtā huuñ nazar meñ
socho to agar maiñ kahīñ vaisā nikal aatā
achchhā huā parkhā nahīñ 'amabar' ko kisī ne
kyā jāniye kyā shaḳhs thā kaisā nikal aatā
mushkil ko samajhne ka wasila nikal aata
tum baat to karte koi rasta nikal aata
ghar se jo mere sona ya paisa nikal aata
kis kis se mera KHun ka rishta nikal aata
mere liye ai dost bas itna hi bahut tha
jaisa tujhe socha tha tu waisa nikal aata
main joD to deta teri taswir ke TukDe
mushkil tha ki wo pahla sa chehra nikal aata
bas aur to kya hona tha dukh-dard suna kar
yaron ke liye ek tamasha nikal aata
aisa hun main is waste chubhta hun nazar mein
socho to agar main kahin waisa nikal aata
achchha hua parkha nahin 'amabar' ko kisi ne
kya jaaniye kya shaKHs tha kaisa nikal aata
- Book : KYA ARZ KARUN (URDU HINDI POETRY) (Pg. 28)
- Author : Ambar Kharbanda
- Publication : Aseem Parkashan (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.