mushkil ko usne sab ki aasan kar diya hai
mushkil ko us ne sab kī āsān kar diyā hai
maujūdgī kā apnī e'lān kar diyā hai
baiThe hue haiñ patthar shīshoñ kā jism pahne
mahfil ne terī sab ko hairān kar diyā hai
itnī jagah kahāñ thī rakh paa.eñ saarī duniyā
kuchh is liye bhī dil ko vīrān kar diyā hai
hairān haiñ havā.eñ mausam bhī hai pareshāñ
jhoñke ko us ne kaise tūfān kar diyā hai
maiñ chaah ke bhī us ko shāyad na bhuul paatā
ai vaqt tū ne mujh par ehsān kar diyā hai
mushkil ko us ne sab ki aasan kar diya hai
maujudgi ka apni e'lan kar diya hai
baiThe hue hain patthar shishon ka jism pahne
mahfil ne teri sab ko hairan kar diya hai
itni jagah kahan thi rakh paen sari duniya
kuchh is liye bhi dil ko viran kar diya hai
hairan hain hawaen mausam bhi hai pareshan
jhonke ko us ne kaise tufan kar diya hai
main chah ke bhi us ko shayad na bhul pata
ai waqt tu ne mujh par ehsan kar diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.