mushkil mein raha wo bhi ki tadbir na tha main
mushkil meñ rahā vo bhī ki tadbīr na thā maiñ
maiñ ḳhvāb to thā us kā pe ta.abīr na thā maiñ
yuuñ bhī huā us ne mujhe sajdoñ se navāzā
bad-baḳhtī se jis shaḳhs kī taqdīr na thā maiñ
vo chhoḌ gayā raah meñ ye us kī razā thī
vaise bhī kisī paañv meñ zanjīr na thā maiñ
is zauq-e-suḳhan ne kiyā rusvā-e-zamāna
pahle to tire raaz kī tash.hīr na thā maiñ
kartā bhī to kaise mirī pahchān zamāna
dukh aisā thā ḳhud apnī bhī tasvīr na thā maiñ
mushkil mein raha wo bhi ki tadbir na tha main
main KHwab to tha us ka pe tabir na tha main
yun bhi hua us ne mujhe sajdon se nawaza
bad-baKHti se jis shaKHs ki taqdir na tha main
wo chhoD gaya rah mein ye us ki raza thi
waise bhi kisi panw mein zanjir na tha main
is zauq-e-suKHan ne kiya ruswa-e-zamana
pahle to tere raaz ki tashhir na tha main
karta bhi to kaise meri pahchan zamana
dukh aisa tha KHud apni bhi taswir na tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.