mushkil teri uDan hai suraj nazar mein rakh
mushkil tirī uḌaan hai sūraj nazar meñ rakh
tārīk āsmān hai sūraj nazar meñ rakh
jaanā hai raushnī kī taraf lauT kar tujhe
do pal kā ye jahān hai sūraj nazar meñ rakh
be-rang is ke phuul haiñ be-nūr har shajar
jangal ye gulsitān hai sūraj nazar meñ rakh
ye arz-e-be-sabāt hai har moḌ par yahāñ
zulmat kā arsalān hai sūraj nazar meñ rakh
har rahguzar meñ zulm-o-sitam kā hī raaj hai
ye shahr-e-be-amān hai sūraj nazar meñ rakh
duniyā pul-e-sirāt se kuchh kam nahīñ 'mirāq'
har pal ik imtihān hai sūraj nazar meñ rakh
mushkil teri uDan hai suraj nazar mein rakh
tarik aasman hai suraj nazar mein rakh
jaana hai raushni ki taraf lauT kar tujhe
do pal ka ye jahan hai suraj nazar mein rakh
be-rang is ke phul hain be-nur har shajar
jangal ye gulsitan hai suraj nazar mein rakh
ye arz-e-be-sabaat hai har moD par yahan
zulmat ka arsalan hai suraj nazar mein rakh
har rahguzar mein zulm-o-sitam ka hi raj hai
ye shahr-e-be-aman hai suraj nazar mein rakh
duniya pul-e-siraat se kuchh kam nahin 'miraq'
har pal ek imtihan hai suraj nazar mein rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.