mushkil waqt mein aksar log badal jate hain
mushkil vaqt meñ aksar log badal jaate haiñ
chalte chalte apnī raah nikal jaate haiñ
sab ke apne apne paimāne hote haiñ
sab apne afkār kī aag meñ jal jaate haiñ
zehn kī girheñ khulte khulte hī khultī haiñ
jaate jaate hī rassī ke bil jaate haiñ
Thokar khā kar girne vaalā soch rahā thā
girte girte kaise log sambhal jaate haiñ
behis logoñ kī bastī meñ āḳhir 'anvar'
kaise kaise naġhme aah meñ Dhal jaate haiñ
mushkil waqt mein aksar log badal jate hain
chalte chalte apni rah nikal jate hain
sab ke apne apne paimane hote hain
sab apne afkar ki aag mein jal jate hain
zehn ki girhen khulte khulte hi khulti hain
jate jate hi rassi ke bil jate hain
Thokar kha kar girne wala soch raha tha
girte girte kaise log sambhal jate hain
behis logon ki basti mein aaKHir 'anwar'
kaise kaise naghme aah mein Dhal jate hain
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.