Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mushkil ye imtiyaz teri rahguzar mein hai

Sharib Lakhnavi

mushkil ye imtiyaz teri rahguzar mein hai

Sharib Lakhnavi

MORE BYSharib Lakhnavi

    Interesting Fact

    25 Sep 1968

    mushkil ye imtiyāz tirī rāhguzar meñ hai

    manzil safar meñ hai ki musāfir safar meñ hai

    huuñ muztarib magar tirī sūrat nazar meñ hai

    pahlū bhī ik sukūn dard-e-jigar meñ hai

    thoḌī ḳhaak maiñ ne uThā zamīn se

    ab saarī zindagī ḳhulāsa nazar meñ hai

    ai āftāb-e-sub.h idhar bhī koī kiran

    muddat se ik ġharīb umīd-e-sahar meñ hai

    pūchho na ek ek se mere junūñ raaz

    mere junūñ raaz tumhārī nazar meñ hai

    ka.abe ko māntā huuñ magar is yaqīñ ke saath

    ka.aba bhī ik maqām tirī rahguzar meñ hai

    maanā ki sab ne aap ko dekhā hai shauq se

    pahchānñe ḳhulūs-e-nazar kis nazar meñ hai

    fasl-e-bahār aa.ī hai kaise yaqīñ kareñ

    'shārib' hai jis naam vo dīvāna ghar meñ hai

    mushkil ye imtiyaz teri rahguzar mein hai

    manzil safar mein hai ki musafir safar mein hai

    hun muztarib magar teri surat nazar mein hai

    pahlu bhi ek sukun ka dard-e-jigar mein hai

    thoDi si KHak main ne uTha li zamin se

    ab sari zindagi ka KHulasa nazar mein hai

    ai aaftab-e-subh idhar bhi koi kiran

    muddat se ek gharib umid-e-sahar mein hai

    puchho na ek ek se mere junun ka raaz

    mere junun ka raaz tumhaari nazar mein hai

    kabe ko manta hun magar is yaqin ke sath

    kaba bhi ek maqam teri rahguzar mein hai

    mana ki sab ne aap ko dekha hai shauq se

    pahchanne KHulus-e-nazar kis nazar mein hai

    fasl-e-bahaar aai hai kaise yaqin karen

    'shaarib' hai jis ka nam wo diwana ghar mein hai

    Source :
    • Book : Firdaus-e-Nazar (Pg. 133)
    • Author : Sultan Haider Khan
    • Publication : Urdu Acadami U.P
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now