mushkilen lakh hon lekin meri KHwahish hogi
mushkileñ laakh hoñ lekin mirī ḳhvāhish hogī
aap kā saath nibhāne kī to koshish hogī
tohmateñ kitnī lagāoge mohabbat pe mirī
is se to shahr meñ nafrat kī numā.ish hogī
in añdheroñ se koī ḳhauf nahīñ hai mujh ko
maiñ samajhtī huuñ yahāñ nuur kī bārish hogī
koī munsif kisī mujrim ko sazā kaise de
jab adālat meñ vakīloñ kī sifārish hogī
ab to mazlūm bhī ḳhanjar kā sahārā legā
na koī vintī karegā na guzārish hogī
mushkilen lakh hon lekin meri KHwahish hogi
aap ka sath nibhane ki to koshish hogi
tohmaten kitni lagaoge mohabbat pe meri
is se to shahr mein nafrat ki numaish hogi
in andheron se koi KHauf nahin hai mujh ko
main samajhti hun yahan nur ki barish hogi
koi munsif kisi mujrim ko saza kaise de
jab adalat mein wakilon ki sifarish hogi
ab to mazlum bhi KHanjar ka sahaara lega
na koi winti karega na guzarish hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.