mushkilon ki yahi hain baDi mushkilen
mushkiloñ kī yahī haiñ baḌī mushkileñ
aap jab chāheñ kam hoñ tabhī ye baḌheñ
ab koī dūsrā rāsta hī nahīñ
yaad tujh ko kareñ aur zinda raheñ
bas isī soch se jhuuT qaa.em rahā
bol kar sach bhalā ham bure kyuuñ baneñ
Dāliyoñ pe phudakne se jo mil ga.ī
us ḳhushī ke liye kyuuñ falak par uḌeñ
ham darinde nahīñ gar haiñ insān to
aa.ina dekhne se batā kyuuñ Dareñ
zindagī ḳhūb-sūrat bane is tarah
ham kaheñ tum suno tum kaho ham suneñ
aa ke haule se chhū leñ vo hoñThoñ se gar
to surīlī murliyā se 'nīraj' bajeñ
mushkilon ki yahi hain baDi mushkilen
aap jab chahen kam hon tabhi ye baDhen
ab koi dusra rasta hi nahin
yaad tujh ko karen aur zinda rahen
bas isi soch se jhuT qaem raha
bol kar sach bhala hum bure kyun banen
Daliyon pe phudakne se jo mil gai
us KHushi ke liye kyun falak par uDen
hum darinde nahin gar hain insan to
aaina dekhne se bata kyun Daren
zindagi KHub-surat bane is tarah
hum kahen tum suno tum kaho hum sunen
aa ke haule se chhu len wo honThon se gar
to surili murliya se 'niraj' bajen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.