mushkilon mein paD gae apna KHuda kah kar tujhe
mushkilon mein paD gae apna KHuda kah kar tujhe
Ved Prakash Malik Sarshar
MORE BYVed Prakash Malik Sarshar
mushkiloñ meñ paḌ ga.e apnā ḳhudā kah kar tujhe
tū hī kah de ham pukāreñ aur kyā kah kar tujhe
hāl-e-dil kahne kī kyā ab bhī zarūrat rah ga.ī
jab pukārā ham ne apnā dil-rubā kah kar tujhe
jāda-e-manzil pe khā kar Thokareñ hosh aa gayā
kis qadar ḳhush the ham apnā rahnumā kah kar tujhe
tere hote terī duniyā meñ ye bedād-o-sitam
log pachhtāne lage apnā ḳhudā kah kar tujhe
ik zamāna ham se ġhussa hai ye ham ne kyā kiyā
sab ko chhoTā kar diyā sab se baḌā kah kar tujhe
saarī duniyā se adāvat mol le lī muft meñ
ham ne apnā dost apnā ham-navā kah kar tujhe
aah ye apnā safīna aur girdāb-e-balā
saḳht sharminda hue ham nāḳhudā kah kar tujhe
kis tarah ye ham vafādāroñ se dekhā jā.egā
log mahfil meñ pukāreñ bevafā kah kar tujhe
aur bhī un kī nigāhoñ meñ mohazzab ho gayā
kyā milā 'sarshār' dil kā mājrā kah kar tujhe
mushkilon mein paD gae apna KHuda kah kar tujhe
tu hi kah de hum pukaren aur kya kah kar tujhe
haal-e-dil kahne ki kya ab bhi zarurat rah gai
jab pukara hum ne apna dil-ruba kah kar tujhe
jada-e-manzil pe kha kar Thokaren hosh aa gaya
kis qadar KHush the hum apna rahnuma kah kar tujhe
tere hote teri duniya mein ye bedad-o-sitam
log pachhtane lage apna KHuda kah kar tujhe
ek zamana hum se ghussa hai ye hum ne kya kiya
sab ko chhoTa kar diya sab se baDa kah kar tujhe
sari duniya se adawat mol le li muft mein
hum ne apna dost apna ham-nawa kah kar tujhe
aah ye apna safina aur girdab-e-bala
saKHt sharminda hue hum naKHuda kah kar tujhe
kis tarah ye hum wafadaron se dekha jaega
log mahfil mein pukaren bewafa kah kar tujhe
aur bhi un ki nigahon mein mohazzab ho gaya
kya mila 'sarshaar' dil ka majra kah kar tujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.