mushkilon se muqabla hoga
mushkiloñ se muqābla hogā
zindagānī meñ aur kyā hogā
ġham ke maaro ye sochte kyoñ ho
ḳhatm kab ġham kā silsila hogā
dard-e-dil kī davā na kījiyegā
dard kuchh aur bhī sivā hogā
sāf-goī ko ham ne chhoḌ diyā
ab kisī ko na kuchh gila hogā
mere lahje meñ aaj talḳhī hai
merī bātoñ se tū ḳhafā hogā
chāñdnī phir zarūr barsegī
chāñd bādal meñ chhup gayā hogā
kis ko fursat hai kaun soche ye
jaane kis haal meñ 'ziyā' hogā
mushkilon se muqabla hoga
zindagani mein aur kya hoga
gham ke maro ye sochte kyon ho
KHatm kab gham ka silsila hoga
dard-e-dil ki dawa na kijiyega
dard kuchh aur bhi siwa hoga
saf-goi ko hum ne chhoD diya
ab kisi ko na kuchh gila hoga
mere lahje mein aaj talKHi hai
meri baaton se tu KHafa hoga
chandni phir zarur barsegi
chand baadal mein chhup gaya hoga
kis ko fursat hai kaun soche ye
jaane kis haal mein 'ziya' hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.