mushtaq the jis ke jalwon ke aankhon ka chhalakta jam liye
mushtaq the jis ke jalwon ke aankhon ka chhalakta jam liye
Muslim Ansari
MORE BYMuslim Ansari
mushtāq the jis ke jalvoñ ke āñkhoñ kā chhalaktā jaam liye
vo sub.h-e-tarab aa.ī to magar dāman meñ hazāroñ shaam liye
is daur-e-tarab meñ ai hamdam mat pūchh masarrat kā aalam
bhūle se hañsī aa.ī to magar talḳhī-e-ġham-e-ayyām liye
aisā na ho ik din ghabrā kar maiñ tark-e-mohabbat kar baiThūñ
dekhoge mirī jānib kab tak tum silsila-e-auhām liye
zindān-o-qafas kī baat nahīñ ye haal hai apnā gulshan meñ
paanī jo milā to zahr milā daana jo milā ik daam liye
'muslim' mujhe apne miTne kī kuchh fikr nahīñ haañ ġham ye hai
is daur meñ jo fitna bhī uThā kam-baḳht mirā hī naam liye
mushtaq the jis ke jalwon ke aankhon ka chhalakta jam liye
wo subh-e-tarab aai to magar daman mein hazaron sham liye
is daur-e-tarab mein ai hamdam mat puchh masarrat ka aalam
bhule se hansi aai to magar talKHi-e-gham-e-ayyam liye
aisa na ho ek din ghabra kar main tark-e-mohabbat kar baiThun
dekhoge meri jaanib kab tak tum silsila-e-auham liye
zindan-o-qafas ki baat nahin ye haal hai apna gulshan mein
pani jo mila to zahr mila dana jo mila ek dam liye
'muslim' mujhe apne miTne ki kuchh fikr nahin han gham ye hai
is daur mein jo fitna bhi uTha kam-baKHt mera hi nam liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.