musibat aai hai to phir musibat se na ghabrana
musībat aa.ī hai to phir musībat se na ghabrānā
diye kā kaam hai āḳhir savere tak jale jaanā
guzārī hijr kī rāteñ tumhārī yaad meñ aksar
kabhī jo milne aa jaao bahal jā.egā dīvāna
nahīñ hai rashk mujh ko to havelī aur daulat kā
maiñ miTTī kā huuñ paikar aur isī meñ mujh ko mil jaanā
junūñ meñ raqs karte hī fanā ho jā.egā āḳhir
qarīb-e-sham.a aayā hai vo dekho ek parvāna
na sahrā meñ na dariyā meñ na jangal meñ bayābāñ meñ
kahāñ par aa gayā huuñ maiñ zarā ye mujh ko samjhānā
maiñ āvāra sā ik laḌkā ma.āshī fikr meñ uljhā
yahī hai dāstāñ merī yahī hai merā afsāna
jahāñ mahbūb ho tum 'qalb' sajda us jagah rakhnā
haram ho dair ho chāhe kalīsā ho yā but-ḳhāna
musibat aai hai to phir musibat se na ghabrana
diye ka kaam hai aaKHir sawere tak jale jaana
guzari hijr ki raaten tumhaari yaad mein aksar
kabhi jo milne aa jao bahal jaega diwana
nahin hai rashk mujh ko to haweli aur daulat ka
main miTTi ka hun paikar aur isi mein mujh ko mil jaana
junun mein raqs karte hi fana ho jaega aaKHir
qarib-e-shama aaya hai wo dekho ek parwana
na sahra mein na dariya mein na jangal mein bayaban mein
kahan par aa gaya hun main zara ye mujh ko samjhana
main aawara sa ek laDka maashi fikr mein uljha
yahi hai dastan meri yahi hai mera afsana
jahan mahbub ho tum 'qalb' sajda us jagah rakhna
haram ho dair ho chahe kalisa ho ya but-KHana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.