musibat sar se Talti ja rahi hai
musībat sar se Taltī jā rahī hai
hamārī umr Dhaltī jā rahī hai
kahāñ hai zindagī ab zindagī meñ
faqat ik nabz chaltī jā rahī hai
musalsal bhaap ban kar uḌ rahā huuñ
musalsal aag jaltī jā rahī hai
ajab hai sāneha jiine kī ḳhvāhish
mire dil se nikaltī jā rahī hai
ḳhafā kyoñ haiñ mire hālāt mujh se
havā kyoñ ruḳh badaltī jā rahī hai
ye sāñseñ mo.ajize meñ Dhal rahī haiñ
karāmat ḳhuuñ meñ chaltī jā rahī hai
savā neze pe sūraj aa rahā hai
mirī har samt galtī jā rahī hai
mujhe dhar kar mere be-dar makāñ meñ
vo ghar ko haath maltī jā rahī hai
ye kaise Dank haiñ siine meñ 'tāhir'
halaq meñ jaañ uchhaltī jā rahī hai
musibat sar se Talti ja rahi hai
hamari umr Dhalti ja rahi hai
kahan hai zindagi ab zindagi mein
faqat ek nabz chalti ja rahi hai
musalsal bhap ban kar uD raha hun
musalsal aag jalti ja rahi hai
ajab hai saneha jine ki KHwahish
mere dil se nikalti ja rahi hai
KHafa kyon hain mere haalat mujh se
hawa kyon ruKH badalti ja rahi hai
ye sansen moajize mein Dhal rahi hain
karamat KHun mein chalti ja rahi hai
sawa neze pe suraj aa raha hai
meri har samt galti ja rahi hai
mujhe dhar kar mere be-dar makan mein
wo ghar ko hath malti ja rahi hai
ye kaise Dank hain sine mein 'tahir'
halaq mein jaan uchhalti ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.