muskan ka bhi jab koi imkan nahin tha
muskān kā bhī jab koī imkān nahīñ thā
tab hañsnā vo bhī zor se āsān nahīñ thā
kuchh mutma.in āñkhoñ meñ bhī chāhat kī kamī thī
kuchh ḳhvāb meñ hī chaah kā sāmān nahīñ thā
bichhḌe to khulā mujh pe ki bas kahne ko thā sab
maiñ asl meñ yaaro kisī kī jaan nahīñ thā
ruk jā kahūñ maiñ aur tū ruk jaa.e ye kab se
tū kaun hai pahle to ye insān nahīñ thā
maiñ maan luuñ vo fikr uḌātā thā dhueñ meñ
aur itne dhueñ se vo pareshān nahīñ thā
muskan ka bhi jab koi imkan nahin tha
tab hansna wo bhi zor se aasan nahin tha
kuchh mutmain aankhon mein bhi chahat ki kami thi
kuchh KHwab mein hi chah ka saman nahin tha
bichhDe to khula mujh pe ki bas kahne ko tha sab
main asl mein yaro kisi ki jaan nahin tha
ruk ja kahun main aur tu ruk jae ye kab se
tu kaun hai pahle to ye insan nahin tha
main man lun wo fikr uData tha dhuen mein
aur itne dhuen se wo pareshan nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.