muskura kar KHitab karte ho
muskurā kar ḳhitāb karte ho
ādateñ kyuuñ ḳharāb karte ho
maar do mujh ko rahm-dil ho kar
kyā ye kār-e-savāb karte ho
muflisī aur kis ko kahte haiñ!
daulatoñ kā hisāb karte ho
sirf ik iltijā hai chhoTī sī
kyā use bāryāb karte ho
ham to tum ko pasand kar baiThe
tum kise intiḳhāb karte ho
ḳhaar kī nok ko lahū de kar
intizār-e-gulāb karte ho
ye na.ī ehtiyāt dekhī hai
aa.ine se hijāb karte ho
kyā zarūrat hai bahs karne kī
kyuuñ kaleja kabāb karte ho
ho chukā jo hisāb honā thā
aur ab kyā hisāb karte ho
ek din ai 'adam' na pī to kyā
roz shaġhl-e-sharāb karte ho
kitne be-rahm ho 'adam' tum bhī
zikr-e-ahd-e-shabāb karte ho
ho kisī kī ḳhushī gar is meñ 'adam'
jurm kā irtikāb karte ho
muskura kar KHitab karte ho
aadaten kyun KHarab karte ho
mar do mujh ko rahm-dil ho kar
kya ye kar-e-sawab karte ho
muflisi aur kis ko kahte hain!
daulaton ka hisab karte ho
sirf ek iltija hai chhoTi si
kya use baryab karte ho
hum to tum ko pasand kar baiThe
tum kise intiKHab karte ho
KHar ki nok ko lahu de kar
intizar-e-gulab karte ho
ye nai ehtiyat dekhi hai
aaine se hijab karte ho
kya zarurat hai bahs karne ki
kyun kaleja kabab karte ho
ho chuka jo hisab hona tha
aur ab kya hisab karte ho
ek din ai 'adam' na pi to kya
roz shaghl-e-sharab karte ho
kitne be-rahm ho 'adam' tum bhi
zikr-e-ahd-e-shabab karte ho
ho kisi ki KHushi gar is mein 'adam'
jurm ka irtikab karte ho
- Book : Kulliyat-e-Adm (Pg. 820)
- Author : Khwaja Mohammad Zakariya
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.