muskuraen muskuraen muskuraen mere sath
muskurā.eñ muskurā.eñ muskurā.eñ mere saath
aap duniyā ko ye ā.īna dikhā.eñ mere saath
laakh tanhā huuñ magar ehsās-e-tanhā.ī nahīñ
rāt-din haiñ jānī-pahchānī sadā.eñ mere saath
jin ko rashk aatā hai merī jur.at-e-parvāz par
bāzū-e-himmat meñ vo bhī par lagā.eñ mere saath
jin du'āoñ se maiñ pahuñchā thā harīm-e-nāz tak
kyā kahūñ dar par vo thiiñ kis kī du'ā.eñ mere saath
muztarib haiñ muntazir haiñ kis qadar bechain haiñ
ye havā.eñ ye ghaTā.eñ ye fazā.eñ mere saath
har navā-e-mahfil-e-hastī bane firdaus-e-gosh
vo agar merī hī lai meñ gungunā.eñ mere saath
maiñ to ab rāh-e-vafā meñ ho chukā huuñ gāmzan
aap kī marzī hai aap aa.eñ na aa.eñ mere saath
ḳhuld meñ rahte hue kitnī farāġhat thī 'urūj
ab ye duniyā aur duniyā kī balā.eñ mere saath
muskuraen muskuraen muskuraen mere sath
aap duniya ko ye aaina dikhaen mere sath
lakh tanha hun magar ehsas-e-tanhai nahin
raat-din hain jaani-pahchani sadaen mere sath
jin ko rashk aata hai meri jurat-e-parwaz par
bazu-e-himmat mein wo bhi par lagaen mere sath
jin du'aon se main pahuncha tha harim-e-naz tak
kya kahun dar par wo thin kis ki du'aen mere sath
muztarib hain muntazir hain kis qadar bechain hain
ye hawaen ye ghaTaen ye fazaen mere sath
har nawa-e-mahfil-e-hasti bane firdaus-e-gosh
wo agar meri hi lai mein gungunaen mere sath
main to ab rah-e-wafa mein ho chuka hun gamzan
aap ki marzi hai aap aaen na aaen mere sath
KHuld mein rahte hue kitni faraghat thi 'uruj
ab ye duniya aur duniya ki balaen mere sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.