muskurahaT hi sada milti KHata ke samne
muskurāhaT hī sadā miltī ḳhatā ke sāmne
saarī duniyā chhoTī hai maañ kī duā ke sāmne
chhat nahīñ miltī hai jin ko ek ūñchā.ī ke baad
gir bhī jaatī haiñ vo dīvāreñ havā ke sāmne
sirf vo hī Dhak sakegā apnī ḳhuddārī kā sar
daulateñ pyārī nahīñ jis ko anā ke sāmne
jin kī dahshat se sitam se jal rahā saarā jahāñ
vo bhalā kyā muñh dikhā.eñge ḳhudā ke sāmne
āsmāñ sī soch ho aur baat ho Thahrī huī
phir ġhazal manzūr hotī hai duā ke sāmne
tere hoñToñ se jo sun luuñ ishq meñ Duubī ġhazal
ye ināyat hai baḌī merī vafā ke sāmne
kis liye tum kholte ho mere marazoñ kī kitāb
naam us kā hī likhā hai har davā ke sāmne
har jagah maujūd rahtī jiine kī sūrat koī
aadmī kā bas nahīñ chaltā qazā ke sāmne
muskurahaT hi sada milti KHata ke samne
sari duniya chhoTi hai man ki dua ke samne
chhat nahin milti hai jin ko ek unchai ke baad
gir bhi jati hain wo diwaren hawa ke samne
sirf wo hi Dhak sakega apni KHuddari ka sar
daulaten pyari nahin jis ko ana ke samne
jin ki dahshat se sitam se jal raha sara jahan
wo bhala kya munh dikhaenge KHuda ke samne
aasman si soch ho aur baat ho Thahri hui
phir ghazal manzur hoti hai dua ke samne
tere honTon se jo sun lun ishq mein Dubi ghazal
ye inayat hai baDi meri wafa ke samne
kis liye tum kholte ho mere marazon ki kitab
nam us ka hi likha hai har dawa ke samne
har jagah maujud rahti jine ki surat koi
aadmi ka bas nahin chalta qaza ke samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.