muskurahaT ke hasin phul khilae rakkhen
muskurāhaT ke hasīñ phuul khilā.e rakkheñ
apnā vīrāna-e-dil yuuñ hī basā.e rakkheñ
surḳh-rū ho ke na duniyā meñ koī jī paayā
phir bhī ye shauq ki sūrat ko sajā.e rakkheñ
aag lag jaa.e na duniyā meñ sharar se us kī
shar ke bahke hue tūfāñ ko dabā.e rakkheñ
ḳhud farāmoshī ne ehsās dilāyā aksar
dil ke zaḳhmoñ ko havā de ke sukhā.e rakkheñ
bhuul jaa.e na kahīñ shakl ye dil vāloñ kī
dīda-e-bīnā ko ā.īna banā.e rakkheñ
aaj vo aa.e haiñ apnī hī ġharaz se 'uzmā'
ghar kā dastūr hai mehmāñ se nibhā.e rakkheñ
muskurahaT ke hasin phul khilae rakkhen
apna virana-e-dil yun hi basae rakkhen
surKH-ru ho ke na duniya mein koi ji paya
phir bhi ye shauq ki surat ko sajae rakkhen
aag lag jae na duniya mein sharar se us ki
shar ke bahke hue tufan ko dabae rakkhen
KHud faramoshi ne ehsas dilaya aksar
dil ke zaKHmon ko hawa de ke sukhae rakkhen
bhul jae na kahin shakl ye dil walon ki
dida-e-bina ko aaina banae rakkhen
aaj wo aae hain apni hi gharaz se 'uzma'
ghar ka dastur hai mehman se nibhae rakkhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.