muskurana chhoD den
muskurānā chhoḌ deñ
dil lagānā chhoḌ deñ
jaam cigarette sair aur
gungunānā chhoḌ deñ
chhoḌ deñ maazī mirā
jī jalānā chhoḌ deñ
jaane deñ jān-e-jahāñ
jān-e-jānāñ chhoḌ deñ
ab nahīñ māneñge vo
ab manānā chhoḌ deñ
kyā zamāna aa gayā
kyā zamāna chhoḌ deñ
ḳhair chahte haiñ agar
sach batānā chhoḌ deñ
ho chukā jab sab hī tai
phir duā nā chhoḌ deñ
aa.ine meñ dekh kar
muñh chhupānā chhoḌ deñ
tujh pe baaqī zindagī
ai ḳhudā na chhoḌ deñ
shā.erī ke shauq meñ
kyā kamānā chhoḌ deñ
muskurana chhoD den
dil lagana chhoD den
jam cigarette sair aur
gungunana chhoD den
chhoD den mazi mera
ji jalana chhoD den
jaane den jaan-e-jahan
jaan-e-jaanan chhoD den
ab nahin manenge wo
ab manana chhoD den
kya zamana aa gaya
kya zamana chhoD den
KHair chahte hain agar
sach batana chhoD den
ho chuka jab sab hi tai
phir dua na chhoD den
aaine mein dekh kar
munh chhupana chhoD den
tujh pe baqi zindagi
ai KHuda na chhoD den
shaeri ke shauq mein
kya kamana chhoD den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.