muskurane ki ada mujhko sikhati hai ghazal
muskurāne kī adā mujh ko sikhātī hai ġhazal
koī mushkil ho mirā saath nibhātī hai ġhazal
dāstāñ husn-o-mohabbat kī sunātī hai ġhazal
ham-navā apnā zamāne ko banātī hai ġhazal
niiñd uḌ jaatī hai rātoñ ko jo āñkhoñ se kabhī
apnī āġhosh-e-mohabbat meñ sulātī hai ġhazal
ġham se āzād bashar hotā hai sunte hī ise
ahl-e-mahfil pe asar aisā jamātī hai ġhazal
kaise kah duuñ ki hai mahdūd ġhazal kī duniyā
shaan urdu kī zamāne meñ baḌhātī hai ġhazal
phailtā hai rah-e-hastī meñ añdherā to 'kamāl'
fikr-o-ehsās kī ik sham.a jalātī hai ġhazal
muskurane ki ada mujh ko sikhati hai ghazal
koi mushkil ho mera sath nibhati hai ghazal
dastan husn-o-mohabbat ki sunati hai ghazal
ham-nawa apna zamane ko banati hai ghazal
nind uD jati hai raaton ko jo aankhon se kabhi
apni aaghosh-e-mohabbat mein sulati hai ghazal
gham se aazad bashar hota hai sunte hi ise
ahl-e-mahfil pe asar aisa jamati hai ghazal
kaise kah dun ki hai mahdud ghazal ki duniya
shan urdu ki zamane mein baDhati hai ghazal
phailta hai rah-e-hasti mein andhera to 'kamal'
fikr-o-ehsas ki ek shama jalati hai ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.