muskurane ko musawwir ne kaha
muskurāne ko musavvir ne kahā
maiñ ne koshish kī nahīñ mujh se huā
reza reza kar diyā tum ne mujhe
mere malbe meñ batāo kyā milā
lafz chehre par numū hone lage
merī chup ne kaam apnā kar diyā
terī ḳhushbū har taraf mahsūs kī
ek aisā phuul furqat meñ khilā
dekhnā hai aaj tujh ko ġhaur se
haT zarā pīchhe zarā sā duur jā
vo rahā ḳhāmosh merī baat par
kaam us ne sāf-goī se liyā
ḳhūbsūrat moḌ par bichhḌeñ ge ham
faisla donoñ ne mil kar ye kiyā
muskurane ko musawwir ne kaha
main ne koshish ki nahin mujh se hua
reza reza kar diya tum ne mujhe
mere malbe mein batao kya mila
lafz chehre par numu hone lage
meri chup ne kaam apna kar diya
teri KHushbu har taraf mahsus ki
ek aisa phul furqat mein khila
dekhna hai aaj tujh ko ghaur se
haT zara pichhe zara sa dur ja
wo raha KHamosh meri baat par
kaam us ne saf-goi se liya
KHubsurat moD par bichhDen ge hum
faisla donon ne mil kar ye kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.