muskurane ko muskuraata hun
muskurāne ko muskurātā huuñ
phir bhī ġham ko kahāñ chhupātā huuñ
husn se rang maañg laatā huuñ
aur har naqsh-e-fan sajātā huuñ
yaad aatā hai tū mujhe har dam
kyā tujhe bhī maiñ yaad aatā huuñ
shā.irī ke hasīn parde meñ
zindagī tere giit gaatā huuñ
husn ko chuum kar nigāhoñ se
husn kī aabrū baḌhātā huuñ
aaj bhī us kī yaad aate hī
saarī duniyā ko bhuul jaatā huuñ
maiñ ne bechī nahīñ hai ḳhuddārī
maiñ kisī daam meñ kab aatā huuñ
is siyāsat ke ghup añdhere meñ
shama-e-insāniyat jalātā huuñ
har jafā-jū ke sāmne jā kar
lab-e-goyā ko āzmātā huuñ
maiñ ta.assub ke bhūle-bhaTkoñ ko
sīdhe rāste pe le ke aatā huuñ
mujh sā hogā na qadr-dān-e-vaqt
ik bhī lamha nahīñ gañvātā huuñ
ik qadam jo baḌhā.e merī taraf
do qadam us kī samt uThātā huuñ
mere aañsū na koī poñchh sakā
ik zamāne ko maiñ hañsātā huuñ
dil-e-āshiq hai mere siine meñ
maiñ mohabbat ke giit gaatā huuñ
vasf-o-ḳhūbī kā huuñ satā.ish-gar
aib ko aa.ina dikhātā huuñ
kabhī auroñ kā zikr hai lab par
āp-bītī kabhī sunātā huuñ
kabhī kartā huuñ bārish-e-gul-e-tar
kabhī chiñgāriyāñ uḌātā huuñ
bazm-e-fitrat meñ baiTh kar 'maġhmūm
husn-e-fitrat ke naaz uThātā huuñ
muskurane ko muskuraata hun
phir bhi gham ko kahan chhupata hun
husn se rang mang lata hun
aur har naqsh-e-fan sajata hun
yaad aata hai tu mujhe har dam
kya tujhe bhi main yaad aata hun
shairi ke hasin parde mein
zindagi tere git gata hun
husn ko chum kar nigahon se
husn ki aabru baDhata hun
aaj bhi us ki yaad aate hi
sari duniya ko bhul jata hun
main ne bechi nahin hai KHuddari
main kisi dam mein kab aata hun
is siyasat ke ghup andhere mein
shama-e-insaniyat jalata hun
har jafa-ju ke samne ja kar
lab-e-goya ko aazmata hun
main tassub ke bhule-bhaTkon ko
sidhe raste pe le ke aata hun
mujh sa hoga na qadr-dan-e-waqt
ek bhi lamha nahin ganwata hun
ek qadam jo baDhae meri taraf
do qadam us ki samt uThata hun
mere aansu na koi ponchh saka
ek zamane ko main hansata hun
dil-e-ashiq hai mere sine mein
main mohabbat ke git gata hun
wasf-o-KHubi ka hun sataish-gar
aib ko aaina dikhata hun
kabhi auron ka zikr hai lab par
aap-biti kabhi sunata hun
kabhi karta hun barish-e-gul-e-tar
kabhi chingariyan uData hun
bazm-e-fitrat mein baiTh kar 'maghmum
husn-e-fitrat ke naz uThata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.