muskurane mein din guzarta hai
muskurāne meñ din guzartā hai
ġham chhupāne meñ din guzartā hai
aap kā kyā hai aap kā aksar
dil dukhāne meñ din guzartā hai
yaad aa.e to un ke kūche meñ
aane jaane meñ din guzartā hai
aaj bhī mai-kade meñ saaqī kā
mai pilāne meñ din guzartā hai
ruuTh jaatā hai ham se 'shāfī' jab
phir manāne meñ din guzartā hai
muskurane mein din guzarta hai
gham chhupane mein din guzarta hai
aap ka kya hai aap ka aksar
dil dukhane mein din guzarta hai
yaad aae to un ke kuche mein
aane jaane mein din guzarta hai
aaj bhi mai-kade mein saqi ka
mai pilane mein din guzarta hai
ruTh jata hai hum se 'shafi' jab
phir manane mein din guzarta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.