muskuraate the jo mera chaak-daman dekh kar
muskurāte the jo merā chāk-dāmāñ dekh kar
aaj sharminda haiñ vo apnā garebāñ dekh kar
ārzū-e-dīd dil kī dil meñ āḳhir rah ga.ī
mahv-e-hairat ho gayā tasvīr-e-jānāñ dekh kar
kis qadar badlī hai duniyā ne mohabbat kī ravish
pher letā hai nazar insāñ ko insāñ dekh kar
aa.e the taskīn dene vo dil-e-betāb ko
ḳhud pareshāñ ho ga.e mujh ko pareshāñ dekh kar
chūmtī haiñ manzileñ ḳhud ahl-e-himmat ke qadam
hausla mat haar jaanā zor-e-tūfāñ dekh kar
vā-e-qismat vo to merā hī jalā thā āshiyāñ
ḳhush huā thā maiñ gulistāñ meñ charāġhāñ dekh kar
'nūr' andāza bahāroñ kā lagā lete haiñ sab
merā dāmāñ dekh kar merā girebāñ dekh kar
muskuraate the jo mera chaak-daman dekh kar
aaj sharminda hain wo apna gareban dekh kar
aarzu-e-did dil ki dil mein aaKHir rah gai
mahw-e-hairat ho gaya taswir-e-jaanan dekh kar
kis qadar badli hai duniya ne mohabbat ki rawish
pher leta hai nazar insan ko insan dekh kar
aae the taskin dene wo dil-e-betab ko
KHud pareshan ho gae mujh ko pareshan dekh kar
chumti hain manzilen KHud ahl-e-himmat ke qadam
hausla mat haar jaana zor-e-tufan dekh kar
wa-e-qismat wo to mera hi jala tha aashiyan
KHush hua tha main gulistan mein charaghan dekh kar
'nur' andaza bahaaron ka laga lete hain sab
mera daman dekh kar mera gireban dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.