mustaqbil ki sab dil-KHush-kun baaten KHwabon tak mahdud
mustaqbil ki sab dil-KHush-kun baaten KHwabon tak mahdud
Fasihullah Naqeeb
MORE BYFasihullah Naqeeb
mustaqbil kī sab dil-ḳhush-kun bāteñ ḳhvāboñ tak mahdūd
uns mohabbat mehr-o-vafā gar haiñ to kitāboñ tak mahdūd
sher-o-adab ko sarhad-varhad se kyā lenā denā hai
sher-o-adab kī duniyā kyoñ hai aaj nisāboñ tak mahdūd
kārobār-e-daroġh sharīfoñ ke aivānoñ tak pahuñchā
sach kī daulat ho kar rah ga.ī ḳhāna-ḳharāboñ tak mahdūd
istiġhnā se aab aatī hai ḳhuddārī ke chehre par
jhūTī anā kī haisiyyat kyā sirf hisāboñ tak mahdūd
'mīr'-o-'ġhālib' kā sarmāya aaheñ aañsū ḳhūn-e-jigar
dhan daulat shāhoñ kā hissa aish navāboñ tak mahdūd
apne haal hī gum dil vaale apnī khaal meñ mast 'naqīb'
is nashshe ko vo kyā jāneñ jo haiñ sharāboñ tak mahdūd
mustaqbil ki sab dil-KHush-kun baaten KHwabon tak mahdud
uns mohabbat mehr-o-wafa gar hain to kitabon tak mahdud
sher-o-adab ko sarhad-warhad se kya lena dena hai
sher-o-adab ki duniya kyon hai aaj nisabon tak mahdud
karobar-e-darogh sharifon ke aiwanon tak pahuncha
sach ki daulat ho kar rah gai KHana-KHarabon tak mahdud
istighna se aab aati hai KHuddari ke chehre par
jhuTi ana ki haisiyyat kya sirf hisabon tak mahdud
'mir'-o-'ghaalib' ka sarmaya aahen aansu KHun-e-jigar
dhan daulat shahon ka hissa aish nawabon tak mahdud
apne haal hi gum dil wale apni khaal mein mast 'naqib'
is nashshe ko wo kya jaanen jo hain sharabon tak mahdud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.