mustaqbil raushan-tar kahiye
mustaqbil raushan-tar kahiye
lekin aañkh milā kar kahiye
barbādī ko manzar kahiye
kahiye soch samajh kar kahiye
samjhāyā thā dekh ke chaliye
kaisī khaa.ī Thokar kahiye
dam ghuTne kī baat alag hai
tauq-e-gulū ko zevar kahiye
aañsū haiñ qānūn se bāhar
ġham kī bāteñ hañs kar kahiye
ā.īna dikhlānā hogā
sachchī bāteñ muñh par kahiye
shaiḳhī kī bhī had hotī hai
kab tak behtar behtar kahiye
mustaqbil raushan-tar kahiye
lekin aankh mila kar kahiye
barbaadi ko manzar kahiye
kahiye soch samajh kar kahiye
samjhaya tha dekh ke chaliye
kaisi khai Thokar kahiye
dam ghuTne ki baat alag hai
tauq-e-gulu ko zewar kahiye
aansu hain qanun se bahar
gham ki baaten hans kar kahiye
aaina dikhlana hoga
sachchi baaten munh par kahiye
shaiKHi ki bhi had hoti hai
kab tak behtar behtar kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.