mustaqil ab bujhā bujhā sā hai
āḳhir is dil ko ye huā kyā hai
tum ko chāhā baḌā qusūr kiyā
tum hī batlā do ab sazā kyā hai
maañg luuñ un kā dil agar vo kaheñ
qatl kā tere ḳhūñ-bahā kyā hai
kyuuñ nafas meñ kabāb kī bū hai
mere siine meñ ye jalā kyā hai
mohr hai sabt qalb-e-vā.iz par
daaġh māthe pe bad-numā kyā hai
hazrat-e-dil haiñ kyuuñ udaas udaas
nā-ummīdī ne kuchh kahā kyā hai
kaafī ik lafz hai huzūr-e-ḳhudā
ye shab-o-roz iltijā kiyā hai
vahī māñgo ki ho du'ā maqbūl
yā'nī allāh chāhtā kyā hai
dekhiye ye kalām-e-mehdī meñ
fikr-e-insāñ kī intihā kyā hai
maiñ ne āñkhoñ se ashk poñchhe the
rang dāman pe laal sā kyā hai
zaat 'mehdī' kī phir ġhanīmat hai
gar vo achchhā nahīñ burā kyā hai
mustaqil ab bujha bujha sa hai
aaKHir is dil ko ye hua kya hai
tum ko chaha baDa qusur kiya
tum hi batla do ab saza kya hai
mang lun un ka dil agar wo kahen
qatl ka tere KHun-baha kya hai
kyun nafas mein kabab ki bu hai
mere sine mein ye jala kya hai
mohr hai sabt qalb-e-waiz par
dagh mathe pe bad-numa kya hai
hazrat-e-dil hain kyun udas udas
na-ummidi ne kuchh kaha kya hai
kafi ek lafz hai huzur-e-KHuda
ye shab-o-roz iltija kiya hai
wahi mango ki ho du'a maqbul
ya'ni allah chahta kya hai
dekhiye ye kalam-e-mehdi mein
fikr-e-insan ki intiha kya hai
main ne aankhon se ashk ponchhe the
rang daman pe lal sa kya hai
zat 'mehdi' ki phir ghanimat hai
gar wo achchha nahin bura kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.