mustaqil fikr-e-tang-dasti hai
mustaqil fikr-e-tang-dastī hai
ham haiñ aur daur-e-fāqa-mastī hai
is tarah jī rahe haiñ dīvāne
jaise hastī barā.e hastī hai
ādmiyyat se be-ḳhabar ho kar
aadmī mahv-e-ḳhud-parastī hai
tū ne shāyad abhī nahīñ dekhī
rif'atoñ meñ nihāñ jo pastī hai
jis kī buniyād shash-jihat kahiye
vo hamārā hī sang-e-hastī hai
mustaqil fikr-e-tang-dasti hai
hum hain aur daur-e-faqa-masti hai
is tarah ji rahe hain diwane
jaise hasti barae hasti hai
aadmiyyat se be-KHabar ho kar
aadmi mahw-e-KHud-parasti hai
tu ne shayad abhi nahin dekhi
rif'aton mein nihan jo pasti hai
jis ki buniyaad shash-jihat kahiye
wo hamara hi sang-e-hasti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.