mustaqil masafat hai na-tamam koshish hai
mustaqil masāfat hai nā-tamām koshish hai
rāh-e-zindagī kyā hai jā-e-āzmā.ish hai
sabr-o-zabt kī sarhad chhū chukī hai be-zārī
ḳhāmushī ke maqtal meñ sarbuland ḳhvāhish hai
pāsh-pāsh honā hai aa.ina rifāqat kā
jazba-e-hiqārat se pattharoñ meñ jumbish hai
ḳhvāb ke janāze par nauha-ḳhvāñ haiñ ta.abīreñ
dāman-e-nadāmat par āñsuoñ kī pursish hai
roz-o-shab badalte haiñ zāviye muqaddar ke
haath kī lakīroñ meñ ishtihār-e-gardish hai
aañkh aañkh ḳhūñ-nābī tār-tār dāmānī
jism jism zaḳhmoñ kī har taraf numā.ish hai
ab rah-e-mohabbat par har qadam hai mustahkam
rahnumā-e-dil 'sālim' hausloñ kī yūrish hai
mustaqil masafat hai na-tamam koshish hai
rah-e-zindagi kya hai ja-e-azmaish hai
sabr-o-zabt ki sarhad chhu chuki hai be-zari
KHamushi ke maqtal mein sarbuland KHwahish hai
pash-pash hona hai aaina rifaqat ka
jazba-e-hiqarat se pattharon mein jumbish hai
KHwab ke janaze par nauha-KHwan hain tabiren
daman-e-nadamat par aansuon ki pursish hai
roz-o-shab badalte hain zawiye muqaddar ke
hath ki lakiron mein ishtihaar-e-gardish hai
aankh aankh KHun-nabi tar-tar damani
jism jism zaKHmon ki har taraf numaish hai
ab rah-e-mohabbat par har qadam hai mustahkam
rahnuma-e-dil 'salim' hauslon ki yurish hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.