mustaqil ranj-o-alam toD ke rakh dete hain
mustaqil ranj-o-alam toD ke rakh dete hain
Sulaiman Faraz Hasanpuri
MORE BYSulaiman Faraz Hasanpuri
mustaqil ranj-o-alam toḌ ke rakh dete haiñ
achchhe achchhoñ ko ye ġham toḌ ke rakh dete haiñ
laakh bātil ke sitam toḌ ke rakh dete haiñ
ahl-e-tauhīd sanam toḌ ke rakh dete haiñ
daur-e-hāzir meñ raqīboñ kī zarūrat kyā hai
dostoñ hī ke karam toḌ ke rakh dete haiñ
paalā jaatā hai baḌe naaz se jin ko aksar
vahī beTe to bharam toḌ ke rakh dete haiñ
'ġhālib'-o-'mīr' se kahne ko bachā hī kyā hai
phir bhī kuchh log qalam toḌ ke rakh dete haiñ
un hasīnoñ pe yaqīñ karnā himāqat hai faqat
ye to har ahd-o-qasam toḌ ke rakh dete haiñ
ham ne to fat.h ke lahrā.e vahāñ bhī parcham
hausle bhī jahāñ dam toḌ ke rakh dete haiñ
nīñdeñ uḌ jaatī haiñ dil Dūbne lagtā hai 'farāz'
be-vafāoñ ke sitam toḌ ke rakh dete haiñ
mustaqil ranj-o-alam toD ke rakh dete hain
achchhe achchhon ko ye gham toD ke rakh dete hain
lakh baatil ke sitam toD ke rakh dete hain
ahl-e-tauhid sanam toD ke rakh dete hain
daur-e-hazir mein raqibon ki zarurat kya hai
doston hi ke karam toD ke rakh dete hain
pala jata hai baDe naz se jin ko aksar
wahi beTe to bharam toD ke rakh dete hain
'ghaalib'-o-'mir' se kahne ko bacha hi kya hai
phir bhi kuchh log qalam toD ke rakh dete hain
un hasinon pe yaqin karna himaqat hai faqat
ye to har ahd-o-qasam toD ke rakh dete hain
hum ne to fath ke lahrae wahan bhi parcham
hausle bhi jahan dam toD ke rakh dete hain
ninden uD jati hain dil Dubne lagta hai 'faraaz'
be-wafaon ke sitam toD ke rakh dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.